Tuesday, January 31, 2012

Ajab Jindgi Thi Meri



Ajab Jindgi Thi Meri, Bs Pas Mere Bandgi Thi Meri
Na Koi Apna Tha, Na Koi Paraya Tha
Bs Udasiyo Ka Dil Pe Mere Saya Tha
Ese Me Wo Shakhs Meri Jindgi Me Aaya
Kya Hota Hai Pyar Ye Ehsaas Dilaya
Kaha Hum Ne Bhi Use Tumhi Ko Chaha Tumhi Ko Pyar Kiya
Us Ne Bhi Hum Se Us Ki Mohbat Ka Izhaar Kiya
Bahut Khushnuma Humare Din Rat Guzare
Unke Hi Khyalo Ke Sath Guzre
Itna Pyar Diya Us Ne Ke Kabhi Tanha Na Rahne Diya
Ek Katra Bhi Kabhi Aankho Se Aansu Ka Mere Bahne Na Diya
Usko Pane Ke Siva Khuda Se Kabhi Koi Fariyad Nahi Ki
Uski Bato Ke Siva Kabhi Kisi Ki Bhi Humne Bat Nahi Ki
Hum Ne To Chaha Tha Unko *Dil Se Dil Tak*
Mt Samjhna Tere *Aditya* Ko Hai Teri Mohbat Pe Shaq
Jane Kyo Lga Pas Hoke Bhi Wo Mere Kareeb Nahi Hoti
Kyo Ki Khushiya To Hr Kisi Ke Naseeb Me Nahi Hoti
Aakhir Kah Diya Unhone Ke Wo Humare Ho Nahi Sakte
Thana Tha Jo Hath Umr Bhar Ke Liye Sahare Ho Nahi Sakte
Kya Kahta Kuch Bhi Kah Nahi Sakta Tha
Bina Uske Jinda Rah Bhi nahi Sakta Tha
Mujhe Uska Hr Faisla Manjoor Hai
Pr Mujhe Un Se Kuch Kahna Jarooer Hai
Ki Shayd Ab Jindgi Ke Safar me Tum Mere Sath Nahi Ho
Pr Esa Kabhi Ho Nahi Sakta Sath MEre Tera Ehsas Nahi ho

**Aditya Saklani**







No comments:

Post a Comment